19 September, 2009

Ghatiya Sher....

Ladka bola: kash in hasinao ke baap mar jate,
kash in hasinao ke baap mar jate,
bahana gham ka hota, hum inke ghar to aate.

Ladki boli:
Bewkoof, Yeh bolana bhi paap hoga,
Bewkoof, Yeh bolana bhi paap hoga,
kisi din tu bhi kisi hasina ka baap hoga.

Ladki boli:
Chandni chaand se hoti hai, sitaron se nahi,
Chandni chaand se hoti hai, sitaron se nahi,
Mohabbat ek se hoti hai, hazaaron se nahi.

Ladka bola :
Chandni agar chaand se hogi to sitaron ka kya hoga,
Chandni agar chaand se hogi to sitaron ka kya hoga,
Mohabbat agar ek se hogi to hazaron ka kya hoga. Bewafa sanam se to cigarette achhi hai,
Bewafa sanam se to cigarette achhi hai,
Dil jalati hai, par hoto se to lagti hai. Voh Sadak Ke Us Paar Thi Hum Sadak Ke Is Paar The
Kuch Hum Aage Badhe, Kuch Voh Aage Badhi
Hum Kuch Aur Aage Badhe, Voh Bhi Kuch Aur Aage Badhi
Hum Aur Bhi Aage Badhe, Voh Bhi Aur Aage Badhi
Ab Hum Sadak Ke Us Paar Hein, Aur Voh Sadak Ke Is Paar Hein. Tum pucho aur hum na bata ye aise to halat nahi,
Bas jara sa dil tuta hai aur koi bat nahi. Mai akela hi chala tha janibemanzil ki taraf,
Log aate gaye aur karwa banta gaya. Kya hamari daur ke kuch pine wale uth gaye,
Aaj khali kyo lag rahe hai paimane kai.

Tum aa gaye ho ; Noor aa gaya hai
Chalo teeno picture challe.....

Door se dekha to kuchh dikha nahi......
Dooor se dekhaaa.. to kuchh dikha nahi....
Paas jake dekhaa to kuchh tha hi nahi. Ek Sher sunata hu bade dhyan se suno
Ek Sher sunata hu bade dhyan se suno
Mujhe Sher nahi aata kisi aur se suno

Yeh mere aasu jinhe koi pochne wala bhi nahi,
Koi aanchal enhe milta to sitare hote.

Jise dil diya woh dilhi chali gayi..
Jise pyar kiya woh italy chali gayi...
Dil ne kaha khud kushi(suicide) kar le zalim...
Bijali ko haath lagaya to bijali chali gayi...

Duniya Se Jo Dare, Usse Kayar Kehte Hain,
Duniya Jisse Dare, Usse Shayar Kehte Hain,
Biwi Se Jo Dare, Usse Shohar Kehte Hain.

Aur bhi bahut si cheeze lut chu-ki hai dil ke saath
Ye bataya dosto ne ishq farmane ke baad
Is liye kamray ki ek ek cheez "ckeck" karta hoon main
"Ek tere aane se pehle, ek tere jaa-ne ke baad"

Hamne mana aapme hogi sabra ki takat hamse jyada,
Dekh lo lekin utri hogi aapki surat hamse jyada.

Mushkil ka meri unko mukshil se yeki aaya,
Samjhe meri mushkil ko magar badi mushkil se.

Andaz apne dekhte hai aaine me woh,
Aur yebhi dekhte hai ke koi dekhta n ho.

Dil na umid to nahi, nakam hi to hai,
Lambi hai gam ki shyam magar, shyam hi to hai.

Bahut roai hai us aasu ke khatir,
Jo nikalta hai khushi ki intaha per.

Zakhm kuch aaise huai phulo per soya n gaya,
Jisma jalkar khak aakho se raya n gaya.

Aab es hadd pe laya hai intazaar muzhe,
Woh aa bhi jaye to aaye na yaki muzhe.

Ek diya jo sare rah jalane nikle,
Aandhya bankar kai log buzane nikle.

Kamse kam maut se aisi mujhe ummid nahi,
Jindgi tune to diya dhoke pe dhoka Itni raat gaye Kyon apni qabra khod raha hai Galib
Itni raat gaye kyon apni qabara khod raha hai Galib
La, phawda mujhe de de !!

Humne bhi pyar kiya tha jindgi main, badi josh ke sath!
Humne bhi pyar kiya tha jindgi main, badi shor ke sath!
Aab hum pyar karenge badi soch ke sath !
Kyon ki usey kal shamko dekha kisi aur ke sath !

Gam woh cheez hai
Gam woh cheez hai
Gam woh cheez hai
Jisse kagaz chipkaye jaate hain.

Dharti se aasmaa tak, aasmaa se dharti tak
Dharti se aasmaa tak, aasmaa se dharti tak
Dharti se aasmaa tak, aasmaa se dharti tak
Dharti se aasmaa tak, aasmaa se dharti tak
Hawa hi hawa hai.

Na jane ashk se aakho me kyo hai aaye hue,
Gujar gaya hai jamana tuzhe bhula ye huye.

Jo hamse tum n mile to kuch hum mar na gaye,
Kahne ko bat rehe gayi aur din gujar gaye.

Dil woh nagar nahi ki phir aabad ho sake,
Pachtawoge suno ye basti ujad ke.

Janaje ko woh mere rukwa ke bole,
ye launtenge kab tak, kaha ja rahe ho.

Koi aahat koi aawaz koi chah nahi,
Dil ki galiya badi sunsan hai aaye koi.

Khushi se aag laga o es muhalle me,
Mera makan hi nahi tumhara ghar bhi hai.

Pahle to khushi me bhi nikal aate the aasu,
Aab ranj bhi hota hai to rona nahi aata.

Kata samaz kar hamse n daman bacha e ye,
Gujri hui bahar ki ek yadgar hu.

Bechaini ya samet ke sare zaha ki,
Jab kuch n ban saka to mera dil bana diya.

No comments:

Post a Comment

Related Articles


Related Article Widget by Hoctro